Chehre Ke Daag Dhabbe Ke Totke
Pimples aur acne chehre par daag chor jae hein jo face ko badnuma bana dete hein. Bohat se treatments jesa ke laser aur surgery chehre ke daagh dhabbe ko door karne ke liye mufeed tasawur ki jati hein lekin har koi is ko afford nahi kar sakta. Isi tarah market mein senkron tarah ki aesi jadooi creams bhi available hein jo behtareen nataij ka dawa karti hein lekin ye har ki skin ke liye suitable nahi hoti to phir risk kiyoun liya jaye.
Aap ke kitchen mein mojood qudrati ashya acne ke bai's reh jane walay daag aur black spots se nijat hasil karne ke liye behtareen hein.
Aaloo mein rangat ko gora karne ki qudrati khusoosiyat mojood hein. Ye asani se dastiyab bhi hota hai aur sasta bhi hai. Aaloo ka paste banane ke liye pehle aaloo ka juice nikal lein aur ise besan mein achi tarah se mix kar lein. Is paste ko rozana chehre par 20 minute ke liye lagayen aur phir sada pani se moo dho lein aur moo dhone ke baad baraf ke chote pieces lekar ise face par tikor karein takay khulay masamo ko band kiya ja sake.
Tomato bhi apni bleaching khusoosiyat aur rang gora karne ke bai's mufeed tasawur kiya jata hai. Tamatar ka face pack banane ke liye tomato ko grind kar ke honey mein mix kar lein. Is paste ko face par 20 minute liye lagayen aur phir neem garam pani se moo dho lein.
Malte ke chilko ka powder, pise hue lemon ke chilke, dahi aur honey ko achi tarah se mix kar ke chehre par lagayen. 15 se 20 minute ke liye chor dein phir neem garam pani se face wash kr lein aur ice se chehray ki tikor karein is se khulay masam band ho jayengay aur daagh dhabbe door hone ke sath sath skin soft ho jayegi.
Podine mein daagh dhabbe door karne ki zabardast salahiyat mojood hoti hai. Podinay ke leaves ko pees kar paste bana lein aur is paste ko face par laga kr dry hone tak ke liye chor dein. Khushk hojane par neem garam pani se wash kar lein.
No comments:
Post a Comment