Dant Chamkane Ke Gharelu Totke

Dant Chamkane Ke Gharelu Totke

Dant Chamkane Ke Gharelu Totke

Dant Chamkane Ke Gharelu Totke

Danto ko daghdar karne wali sab se ahem shay tea hai. Tea ka mustaqil use danto par dhabbe daal deta ha jo nihayat badnuma lagte hein, in dhabbo ko mitane ke liye mandarja zil ashya ka use kiya ja sakta ha aur danto ko moti ki tarah chamakdar aur khoobsurat banaya ja saktahai.

Baking Soda: 

Danto ki safai ka sab se asan tarika baking soda ka use bhi hai. Bakin soda ko tooth paste ki tarah brush ki madad se danto par lagayen wazeh faraq mehsoos hoga.

Lemon Aur Salt:

Danto ki safai ke liye lemon aur namak ka mixture bhi behtareen hai. Lemon ka juice nikal kar is mein utna hi salt milayen ke paste ban jaye. Ab tooth brush ki madad se is mixture se danto ki safai karien. Ye tarika hafte mein kam az kam 2 baar use karein. Mustaiq use se aap ke dant nihayat chamakdar aur safed ho jayengay.

Coconut Oil:

coconut oil mein danto ko saaf aur bacteria se mehfooz rakhne ki ability mojood hoti hai. Nariyal ke tail se brush karne ke ilawa ise 5 minute tak moo mein bhar kar rakha bhi ja sata hai.

Sirka:

Sirka apni tezabi khusoosiyat ke bai's danto par jami mail ke teh ko tor dalta hai aur daagho ko halka kar deta hai. Taham ye danto ki hifazati surface ke liye nuqsan deh sabit ho sakta hai lehaza is ka istemal mahine mein sirf 1 baar kiya jaye, ise istemal karne ke baad aam tooth paste se dant brush kar lein.

Whitening Tooth Paste: 

Shayad aap ko ilm na ho magar market mein whitening tooth paste bhi availabe hein. Ye tooth paste danto ke daagh dhabbo ko mitane mein nihayat moassar sabit ho sakte hein.

Khalal:

Danto mein regular se khala karne bhi danto ko safed aur chamakdar rakhta hai.

No comments:

Post a Comment