Saans Phoolne Ki Bimari Ka Ilaj
saans phoolne ki bimari ka ilaj
Motapa bazat khud 1 bimari hai aur bohat se masail bhi paida karta hai jese saans ka phool jana. Paidal chalne bhagne se seerhi charhne se, jin ka weight ziyada hota hai ya aese log jo ke bethe rehte hein ya phir aese log jo ke cigarrette noshi karte hein in ko seerhio par charhne ke baad saans ki takleef hoti hai aur saans phoolne lagta ha.
Kiyounke aese logon ke lungs ya to weak hote hein ya theek se kaam nahi kar rahe hote hein. Is liye agar kisi ko is qisam ki takleef ka samna ho to is ke liye sab se behtareen ilaj yehi ha ke agar smoking kar raha ho to tark kar de, motapa hai ko khud ko slim kare.
Agar kisi ko saans phoolne ki takleef hoti ha to is ka ilaj kishmish se barh kar kuch bhi nahi hai. Kishmish ke jahan deegar fawaid hein wahan ye insaan ke lungs ke liye bhi faidamand hota hai.
Kishmish ki koi bhi qisam ho use lekar 1 glass pani mein 7-8 dane dalein aur subah pee lein ya subah daal kar raat ko use karein. Is se lungs ki safai hoti hai aur lungs mazboot hote hein. Khas kar un logon ke liye bohat achi cheez ha jo cigarette noshi karte hein. Agar kisi ko dama ki bimari ha to us ke liye ye nuskha karamad nahi hai.
the Greet
ReplyDelete