Arq Un Nisa Ka Ilaj In Urdu

Arq Un Nisa Ka Ilaj In Urdu

arq un nisa ka ilaj in urdu

Arq un nisa ka ye dard 1 taang mein aur kabhi dono tango mein bhi hota hai, agr kafi dair tak ye takleef rahe to taang kamzor ho jati hai. Ye dard surain ke neechay taang ki pichli taraf se shru ho kar ghutne ki pichli taraf aur taang mein hota huwa bahar takhne ke peechay tak mehsoos hota hai. Taang mein itni shiddat ka dard hota hai ke mareez langra kar chalta ha isi liye ise langri ya arq un nisha ka dard bhi kehte hein.
Takleef se bachne ke liye arqunisa ka desi ilaj ye hai agar aap is nuskha ko pabandi se use karengay to arqunisa ka dard door ho jayega.

Ingredients:

Suranjan sheere   Aloeva       Aloe vera gel hasbe zaroorat

Method: 

Suranjan sheeren aur aloeva hum wazan lekar bareek pees kar powder bana lein. Is powder ko chaan kar is mein aloe vera gel itna shamil karen ke garha paste ban jaye. Phir is ki choti choti chane ki daal ke barabar goliyan bana kar rakh dein, jab sookh jayen to inehin mehfoz kar ke rakh lein.

Tarika Istemal:

1 goli subah aur sham khayen, is medicine ka 14 din ka course ha isi liye pabandi se use karein.

Perhez: 

Rice, curd, khatti, thandi aur badi ashya ka perhez lazmi karein.

No comments:

Post a Comment