Machar Bhagane Ka Tarika In Urdu
Aaj kal mosquitoes ne hum sab ka jeena mahal bana rakha hai aur in se nijat ke liye hum mukhtalif tarike aazmate hein. Kabhi koi medicine ka chirkao karte hein to kabhi kisi oil ya cream ko body par mal kr un se nijat ki koshish karte hein. Lekin aaj hum aap ko 1 intahai asan gharelu nuskha batayengay jis par amal kar ke aap in se ba asani nijat hasil kar lengay. Mahireen ka kehna hai macharon ko lehsan bilkul bhi pasand nahi hota. Is liye agar aap lehsan ko pees kar ya is ka thora sa pani apnay body par mal lein to machar aap ke nazdeek bhi nahi aayega. Aap ko chahiye ke lehsan ke pani ya oil, petroleum jelly aur wax ka solution bana kar rakh lein aur ise ba waqte zaroorat body par lagayen aur macharon se nijat payen.
Isi tarah lehsan ko kaat kar rakh dein aur dekhen ke machar kis tarah wahan se bhaag jayega. Is ke ilawa lehsan se aap kai deegar fawaid bhi haisl kar sakte hein. Agar face par keel muhase ki shikayat ho to lehsan malne se un se nijat hasil ho jayega.
Agar aap ko zukam aur khansi ki shikayat ho jaye to lehsan se bani tea ka use karne se ye masla jald door ho jayega. Lehsan mein ye salahiyat hai ke aap ke blood ko patla karta ha aur agar dil ke beemari se bachna hai to is ka regularly use karein.
No comments:
Post a Comment