Kalonji Ke Fayde

Kalonji Ke Fayde

kalonji ke fayde

kalonji ke faide

Nabi Akram PBUH ka irshad hai ke kalonji istemal kiya karo is mein mot ke siwa har beemari ke liye shifa ha. Kalonji 1 kisam ka ghaas hai. Is ka poda khurdru aur 40 cm buland hota ha. Bilkul sonf se mushaba hota hai. Phool zardi maail beejo ka rang siyah aur shakal piyaz ke beejo se milti ha. Yehi waja hai ke baaz log inhein piyaz ka hi beej samajhte hein. Kalonji ke beejo ki boo tez aur taseeri shifa 7 saal tak qaim rehti hai. Sahi kalonji ki pehchan ye ha ke agar ise safed kaghaz mein lapet kar rakha jaye to is par chiknai ke dhabbe lag jate hein. Kalonji ke beej khushboo dar aur zaiqe ke liye use kiya jate hein. Achar aur chatni mein paray hue chote tikone siyah beej kalwanji ke hi hote hein. Jo apnay andar beshumar fayde rakhte hein. Ye saree ul asar yani bohat jald asar karte hein.

Kalonji Benefits In Urdu:


1. Kalonji ke ye ahem khasiyat ha ke ye garam aur sard dono tarah ke amraz mein mufeed ha. Jabke is ka apna mizaj garam hai aur sardi se hone walay tamam amraz mein mufeed ha.
2. Kalonji nizam e hazam ki islaah ke liye akseer ka darja rakhti ha, riyah gas aur qabz mein bohat faida hota ha. Wo log jin ko khanay ke bad pait mein bharipan gas riyah bhar jane aur aphara ki shikayat mehsoos hoti ho aesay hazraat kalwanji powder 3 gram khane ke baad istemal karein to na sirf ye shikayat jati rahe gi balke maida ki islah bhi hogi.
3. Kalonji ko sirka ke sath mila kar khane se pait ke keere mar jate hein.
4. Sardiyon ke mosam mein jab thori si sardi lagne se zukam hone lagta ha to aesi soorat mein kalonji ko bhoon kar bareek pees lein aur kapray mein baandh kar potli bana kar bar bar soonghne se zukam door ho jata ha.
5. Agar cheenkein aa rahi hon to kalwanji bhoon kar bareek pees kar zaitoon ka tail mila kar is ke 3 se 4 drops naak mein tapkane se cheenkein jati rehti hein.
6. Kalonji peshab awar bhi ha is ka joshanda shehad mein mila kar peene se gurda masana ki pathri bhi kharij ho jati ha.

Benefits Of Kalonji


Benefits of Kalonji Prophet Muhammad (pbuh) said: Use Kalonji, it cures every disease except death. Kalonji is a type of grass. Its plant is small and forty centimeters high. It is very similar to fennel. The flowers are yellowish, the seeds are corning black and look like onion seeds. This is the reason why some people think of them as onion seeds. The smell of kalonji seeds is strong and the healing effect lasts for seven years. A true Kalonji can be identified by the fact that if it is wrapped in white paper, it will get spots of grease. Kalonji seeds are used for aroma and flavor. 

1. The important property of Kalonji is that it is useful in both hot and cold diseases. While its own temperament is warm and useful in all diseases caused by cold.

2. Kalonji is an elixir for improving the digestive system, good for flatulence and constipation. Those who feel the complaint of heaviness, gas, flatulence and flatulence in the stomach after eating, if they use three grams of Kalonji after eating, then not only this complaint will go away, but the stomach will also be corrected. 

3. Eating kalonji mixed with vinegar kills stomach worms. 

4. In the winter season, when a slight cold causes a cold, in such a case, roast the kalonji and grind it finely and tie it in a cloth and make a potli and smell it repeatedly to cure the cold. 

5. If you are sneezing, grind kalonji finely and mix it with olive oil and drop three or four drops in the nose to stop sneezing. 

6. Kalonji is also a diuretic, drinking its boiling water mixed with honey removes kidney and bladder stones.

No comments:

Post a Comment