Chaiyon Ka Ilaj
Chehra insan ki personality ka aaina hota ha lekin yehi chehra jab wrinkles shikar hone lagata ha to husn maand par jata ha aur shakhsiyat bhi apna waqar khone lagti ha is beemari ka shikar aesi khawateen hoti hein jo dhoop mein ziyada ghoomti phirti hein ya jo hamla hoti hein. Jild ki ye hassas beemari ziyada tar 20 se 50 sala khawateen mein paai jati hein.
Chaiyon Ki Wajoohat:
Chehre par chaiyan ya siyah dhabbe melanin ki ziyadti ki waja se hote hein. Melanin wo mada ha jo jild ki rangat ka zimmay dar hota ha. Jild ke jis hisse par melanin ki tadad ziyada ho jati ha us hisse ka rang siyah parne lagta ha.
Chehre Ki Chaiyan Door Karne Ka Tarika:
Dahi 1 teaspoon, lemon juice 1 teaspoon, honey 1 teaspoon aur arq e gulab 1 teaspoon lekar kisi bartan mein daal kar achi trah mix kar lein. Ab is mein multani mitti ka 1 teaspoon shamil karein aur chammach ki madad se achi tarah ingredients ko yakjan kar lein. Ab is paste ko face par phela lein, khas kar in hisso par jahan chaiyon ka masla ziyada ho. Is paste ko 20 minute tak laga rehne dein aur phir sada pani se face wash kar lein. Hafte mein 2 dafa istemal karne se hi chehre ki chaiyon ka mukammal khatma ho jayega.
Chehre ki chaiyan khatam karne ka 1 behtareen gharelu nuskha ye ha ke khashkhash aur badam hum wazan lekar thoray se pani mein 15 20 minute bheega rehne dein. Phir inhein pees lein ke lai ki tarah ho jaye is marham ka lap raat ko chehre par lagayen aur subah wash kar dein.
Chehre ki chaiyan door karne ke liye kelay ko kuchal kar mutasira hisso par 10 se 15 minute ke liye laga kr chor dein us ke baad chehre ko garam pani se dho lein, is amal ko hafte mein 3 se 4 martaba dohrane se keel muhaso aur chaiyon se nijat mil jati ha.
Agar aap ke chehre par chaiyan hein aur aap inhein khatam karna chahti hein to arq e gulab us ka behtareen ilaj ha. 2 spoon besan, 1 chutki haldi aur arq e gulab ko milar naram paste bana lein. Paste ko apnay face par lagayen aur dry hone ke baad chehre ko pani se wash kar lein. Koi bhi cheez aap ke chehre ko is se ziyada taro taza nahi bana sakti.

No comments:
Post a Comment