Juma Ka Wazifa
Nazireen Hadees Shareef mein hai Allah Pak Juma ke roz kisi Musalman ko nahi chorta magar us ki bakhshish ki jati ha. Jumma ka din tmam dino ka sardar ha aur sab se afzal ha. Hadees Sharif mein ha Allah Pak ke nazdeek tamam dino se afzal Jummah ka din ha aur is mein Rehmat e Ilahi ki barish hoti ha aur dozakh ki aag ko thanda kiya jata ha. Aaj hum aap ko Juma ke din ka 1 aesa Wazifa batayengay jis ke karne se Insha Allah Ta'la aap ki har qisam ki tangi chahe wo rizq ki tangi ho maal ki tangi ho ya rozgar ki tangi ho algharz koi bhi tangi ho door ho jayegi. Ye amal aap ne Jumma ke din karna ha is amal ki ijazat aam ha. Juma ki din kisi bhi waqt Fajar ki Namaz se lekar Maghrib ki Azan se pehle tak kisi bhi waqt Allah Hu aap ne 100 martaba parhna ha. Sirf Allah Hu ki 1 tasbeeh chalte phirte uthte bethte Fajar ki Namaz se lekar Maghrib ki Azan se pehle tak aap ne karni ha. Ye amal aap ne har Jumma ta husool e maqsad karna ha aur agar aap is amal ko apni zindagi ka mamool bana lete hein to zindagi bhar har qisam ki tangi se bache rahengay.
No comments:
Post a Comment