Surah Ikhlas Ka Wazifa
Be aasra, na umeed, pareshan haal aur mayoos logon ke liye ye 1 aesa amal ha jo 100% qabooliyat e dua ki sharait par poora utarta ha aur lakhon Aulia ke mujarrab mamoolat mein shumar hotaha. Agar aap ki har tadbeer ulti ho jati ha, har koshish bekar ho jati ha, har mansoobay mein nakami ka samna karna parta ha, purane se puranay jinnat, bandish aur sakht tareen beemari mein ye amal aap Insha Allah aap ko har aamil se be niaz kar ke har mushkil se nikalne ka rasta muhayya karega aur namumkin ko mumkin banayega. Is amal ki ijazat aam ha. Nazireen amal aap ne kuch is tarah karna ha ke sab se pehle to aap Namaz ki pabandi karein aur awal o akhir 3, 3 martaba koi bhi Darood Shareef parhein aur darmiyan mein 1 martaba Surah Fatiha aur 3 martaba Surah Ikhlas ma Tasmia (Ye poora 1 amal huwa) isi tarah rozana ye amal 41 times karein. Ye amal aap ne 41 din bila nagha karna ha. Jis maqsad ke liye aap amal kar rahe hein agar wo maqsad 41 din mein poora nahi hota to phir 91 din tak bila nagha karein. Har qisam ki beemari, pareshani aur mushkil mein kar sakte hein.
Note: Khawateen ayam ke dino mein ye amal na karein balke Pak hone ke baad dino ki tadad poori karein. Bazoq hazrat is amal ko zindagi ka mamool bana lein to khair o barkat ke thanday badal aap par har waqt chaye rahengay aur aap har waqt Allah Pak ke hifz o Aman mein rahengay.
No comments:
Post a Comment