Surah Kausar Wazifa For Money
Nazireen aaj kal barhti hui mehangai ne insaan ka jeena do bhar kar diya hai. Roz baroz barhti hui mehengai ki waja se guzar basar karna bohat mushkil ho gaya ha. Lekin hamaray gharon mein pareshani ki 1 waja maal mein barkat ka na hona bhi hai. To aaj hum aap ko maal mein barkat aur rizq ki farawani ke liye barkat wali theli ka wazifa batayengay, jis ne ye amal kar lya phir wo kabhi zindagi mein rizq ki tangi ka rona nahi roye ga.
Barkat wali theli Sahab R.A aur Ahl e Bait ki sunnat ha Aulia Sualiheen ne isi se barkatein paai hein. Barkat wali theli se hazaron logon ki muashi mushkilat hal hui aur wo qarzon ki daldal se aasoodgi aur rahat mein aaye. Chota sa amal ha lekin fawaid na sirf dunya ki khush hali hai balke aakhirat ki sa'adat bhi milti ha.
Guzishta dor ke Sahaba o Ahle Bait Rizwan Allahi Alaihim Ajmaeen, Aulia Kiraam Rahimullah ki zindagi mein barkat thi jahan Aemaal Sualeh thay wahan barkat wali theli bhi un ki sathi thi. Barkat wali theli muflis, ghareeb, nadar, tangdast aur qarzon mein doobay huo ke liye 1 anmol tohfa aur khazana hai.
To nazireen karna aap ne ye hai ke koi 1 kapray ki theli ya purse jis mein aap paise rakhte hein wo le lein aur rozana 129 dafa subah o sham Surah Kausar ma Tasmia parh kar usi theli par dam karein, ye amal aap din mein 1 baar bhi kar sate hein yani subah o sham ke bajaye Surah Kausar ma Tasmia 129 dafa sirf subah ya sirf sham ko bhi parh sakte hein lekin agar do baar karengay yani subah o sham karengay to nafa ziyada hoga. Is ke ilawa jab bhi is theli mein raqam rakhein ya nikalein to 1 dafa tasmia ke sath Surah Kausar parh lein kabhi barkat aur raqam khatam nahi hogi. Agar tamam umar ka mamool bana lein to phir kamal dekhein.

ik time me parna he ya kbi bi tadad complt krsakty
ReplyDeleteSurah Kausar 129 martaba 1 hi dafa mein parhna hai.
DeleteMa tasmia matlab Bismillah ke sath
ReplyDeleteHaan
DeleteAoa. Mujhy pochna tha k jitni dafa surah kausar parhni hai utni dafa us ksath tasmia bhi parhni hai? Ya tasmia sirf ek baar parhni hai??
ReplyDeleteTasmia bhi har dafa parhna hai.
Delete