Chehre Ke Baal Hamesha Ke Liye Khatam Karna
Khawateen ke chehre par ghair zaroori baal intahai pareshan kun masla hein jo chehre ki khoobsurti ko mand kar dete hein. Khawateen ki peshani, aankho ke ird gird, thori, gardan aur honto ke upari hisse pr baal ugte hein. In balon se chutkara pane ke liye khawateen threading, bleach, cream aur lotion ka istemal karti hein. In cheezon se waqti tor par baal to saaf ho jate hein lekin doobara ugne walay baal lambay aur motay hote hein kiyounke wo jar se nahi ukharte. Is ke liye koi aesa tarika ziyada behtar rehta ha jis mein baal jar se niklein, jar se nikalne walay baal doobara ugne par halke hote hein aur phir ahista ahista khatam ho jate hein. Chehre ko ghair zaroori baal hatane ke liye kuch purane totke aaj bhi kar aamad hein lekin hum log dor e jadeed mein in ko ahmiyat nahi dete. In mein se kuch faida mand tarika kaar ye hein.
Papeete Aur Haldi Ka Paste:
Is paste ko banane ke liye aap ko kachay papeetay aur adha haldi powder ki zaroorat ha. Chehre ke ghair zaroori balon ka hamesha ke liye safaya karne ke liye ye bohat acha totka ha. Is paste ko istemal karne ke liye tarika ye hai ke aap is paste ko chehre par 15 minute ke liye laga kar chor dein aur phir moo dho lein. 1 hafte mein hi behtareen nataij mosool hongay.
Besan, Dahi Aur Haldi:
2 khane ke chammach besan, 1 chothai chaye ka chammach aur hori se haldi mila kr paste bana lein aur chehre par lap kar lein aur jab sookh jaye to is ke upar halke hathon se nariyal ka tail ya pani laga kar ragarte huway utar dein aur phie chehra dho lein.

No comments:
Post a Comment