Homemade Beauty Tips For Face
Agar aap ke chehre par bhi nishanat hein to pareshan no ho balke aap ke kitchen mein mojood ashya se iska ilaj mumkin ha. Chikni jild walay afrad ko is tarah ki nishanat wali jild ka masla hota ha aur wo is ky tadaruk ke liye kai tarah ki expensive creams use bhi karte hein likin is se muamla theek hone ki bahane ghambeer hone lagta ha.
Aap ko chahiye qudrati ingredients se bani hui cheez lagaen takay iska nuqsan na ho aur aap ki jild theek bhi ho jaye.
Baking Soda And Water:-
2 baray chammach baking soda aur 2 spoon pani lekar mix krein ar is paste ko 15 minute tak chehre par laga rehne dein is ke baad dho lein. Ye amal is waqt tak dohrate rahein jab tak aap ko tabdeeli mehsoos na ho jaye.
Anday Ki Safedi Aur Lemon Juice:
Chand qatre lemon juice aur anday ki safedi likar achi tarah phent lein is solution ko face par laga dry hone dein phir thanday pani se face wash kar lein, chand din mein aap wazeh faraq dekhengay.
Lemon And Pineapple Juice:
Adha cup pineapple juice lein aur is mein half lemon nichor kar kisi saaf kapray se is rus ko chehre par 5 minute tak lagayen. Is ke baad thanday pani se moo wash kar lein.
Tomato And Lemon Juice:
1 tomato mein 4 drops lemon juice shamil karein aur cotton ki madad se ise chehre par lagaeyn aur 15 minute tak chor dein is ke baad chehre ko thanday pani se dho lein.
Cucumber Rose Water And Lemon:-
1 cucumber cheel kr ise pees lein aur is mein 1 spoon arq e gulab aur chand qatray lemon juice dalein. Ise kisi saaf kapray mein daal kar chehre par lagate rahein aur baad mein chehre ko thanday pani se wash kar lein.
No comments:
Post a Comment