How To Get Rid Of Blackheads Home Remedies
Multani Mitti Ka Mask:
Is zaman mein multni mitti mein qudrati madanyat ka khazana paya jata hai. Multani mitti ke mask ko pani ya saib ke sirka ke sath mix kar ke lagaya jata hai agar aap ki skin dry ya sensitive hai to multani mitti mask ki patli teh lagayen. Is mask ko lagane ke baad aap ko ye ehsah hoga ke aap ke chehre ki jild tight aur khinchi hui hai. Multani mitti mask ko mukammal tor par khushk hone ke baad hi saaf krna matlooba nataij day sakta hai. Saaf karne ke baad chehre par koi acha moisturizer laga lein. Kuch khawateen ko is mask se kharish ya allergy ki shikayat ho sakti hai aesa mehsoos hone ki soorat mein ise pani se foran saaf kar lein.
Anday Ki Safedi Ka Mask:
Anday ki safedi ka mask sab se asan mask kehlata hai. Ye mask waqti tor par na sirf khulay masamo ko tight karta hai balke in ki androoni safai bhi karta hai. Is ke istemal se blackheads ka dheeray dheeray khatma hota hai aur naye black heads banne ka amal sust ho kar khatam ho jata hai. Ye baat yaad rakhein ke anday ki safedi ko jab mask ke tor par lagayen to is ki intahai patli ya bareek teh chehre par lagayen.
Shehad Aur Doodh Ka Mask:
Milk and honey dono hi qudrati ajza pr mushtamil behtareen ashya hein. In ka istemal chehre ki jild ke liye har tarah se mufeed hai. Shehad mein anti bacterial ke ingredients paye jate hein jabke doodh mein shamil lactic acid skin ko naram aur fresh rakhne mein madad deta hai. Blackheads ke khatma ke liye bhi in dono cheezon ka istemal faidamand rehta hai. Is ke liye 1 table spoon honey mein 1 teaspoon milk mila kar paste bana lein is paste ko 5 se 10 second tak microwave mein rakh kar halka garam kar lein phir doobara se achi tarah mix karein. Jab itna garam reh jaye ke aap ise chehre par bardasht kar sakein tab ise istemal karein aur 20 minute ke liye chor dein is ke baad thanday pani se dho kar moisturizer laga lein. Mask utarne ke sath sath black heads bhi nikal aate hein.
Daar Cheeni Aur Shahad Ka Mask:
Daar cheeni powder aur shahad ka mixture black heads ke khatme ke liye herat angez kaam karta hai. Shehad jo ke anti bacterial salahiyat ka hamil hai aap ko acne aur bacteria se door rakhta hai jo chehre par dano ka sabab bante hein. Jabke daar cheeni powder chehre ki jild ko shaguftagi aur tazgi bakhshta hai. Is mask ki tayyari ke liye 1 table spoon daar cheeni powder mein 1 1 table spoon honey mila lein aur chehre par jahan jahan black heads hein wahan iski patli teh lagayen is par saaf cotton ke kapray ki patti rakhein aur 3 se 5 minute ke baad is patti ki madad se mask kheench kar utar lein black heads nikal jayengay.
Lemon Ka Istemal:
Blackheads ke khatmay ke liye lemon herat angez kaam karta hai. Chehra ko achi tarah dhonay ke baad mutasira jaghon par cotton ball ki madad se sirf lemon juice lagayen aur 10 se 15 minute tak ke liye chor dein is amal ko hafta mein 3 se 4 baar karein khas tor se raat ko sone se qabal ise laga liya jaye aur subah thanday pani se moo dho kar moistureizer laga lein. Is ka musalsal istemal blackheads ka khatma karde ga.
Baking Soda:
1 table spoon baking soda thoray se pani mein achi tarah mix kar lein ke 1 patla sa mixture ban jaye. Is paste ka chehre par massage karein ye massage golai shape mein hona chahiye ye massage kam az kam 10 minute tak jari rakhein aur phir sada pani se dho kar moisturizer laga lein.
Bhaap Lene Ka Amal:
Blackheads ke khatmay ke liye is tarika istemal ko sab se moassar samjha jata hai. 10 se 15 minute tak garam pani ki bhaap lein aur phir thanday pani se chehra dho lein is amal se masam khul jayengay aur mel aur gandagi bahar nikal jayengay jis se chehra saaf hokar nikhar jayega.
No comments:
Post a Comment