How To Lose Weight Home Remedies
Mojooda dor mein jahan zindagi masheeni ho chuki ha wohi insan ki ghizai adat bhi kharab ho chuki ha. Murghan cheezein istemal kar ke munasib exercise nahi ki jati jis ke natije mein weight barhne lagta ha. Jab wazan munasib had se kafi barh jata ha to tab insan ke liye shadeed masail paida ho jate hein. Ghizai mahireen ke mutabiq wazan ki barhne ka taluq ghair munasib ghiza istemal karne se ha aur apni ghizai adaat tabdeel kar ke weight loss kiya ja sakta hai.
Aesi hi 1 khaton Laksi bhi hein jinho ne fast food aur tali hui cheezon ko tark kar ke 136 kg ghataya. Laksi khanay mein sirf fast food khati thee aur kaam ke auqaat mein biscuit aur cold drink istemal karti thi jis se inka weight barhne laga. Jab in ka wazan 220 kg tak ja pohancha to Laksi ke lie sehat ke masail paida hona shru ho gaye.
Jis par Laksi ne apni ghizayat adaat tabdeel karne ka faisla kiya. Is ke baad Laksi in in ingredients ko tark kiya ton in wazan mein behtari aane lagi jis ke baad Laksi ne gym bhi join kar liya inhon ne hafte mein 5 din exercise ko bhi apna mamool bana liya. laksi ko kuch arsa zaroor laga magar uska motapa kam ho gaya aur sehat ke masail bhi khatam ho gaye.
No comments:
Post a Comment