How To Use Turmeric For Cancer Treatment
England mein 1 khatoon ko blood cance lahaq ho gaya. Har tarah ke ilaj se bhi afaqa na huwa aur wo mot ke moo tak ja pohanchi lekin phir is ne haldi ka istemal shru kar diya jis ke aesay nataij samne aaye ke Doctor bhi heran reh gaye.
Mail online report ke mutabiq Denkay Fargosan nami 1 khatoon ko 2007 mein blood cancer huwa. Us ki 3 baar chemotherapy ki gai aur 4 baar stem cell transplant huwa lekin sab bekar. Afaqa hone ke bajaye us ka marz sangeen tar ho gaya aur us ki bachne ki umeedein bohat kam reh gai.
Phir 1 roz Fargosan ne internet par haldi se cancer ka ilaj ke baray mein parha. Baqi tarika ilaj to be sood ho hi chukay thay chuna chay Fargosan ne haldi se cancer ka ilaj ko azmane ka faisla kiya. Us ne parha tha ke haldi mein curcumin paya jata hai. Jo ke cancer se bachne ka acha tarika hai. Curcumin haldi mein 2% hota hai, chunachay khalis haldi kha kar curcumin ki munasib miqdar hasil nahi ki ja sakti thi, lehaza Fargosan ne curcumin ko haldi se alg kar ke is ki goliya banai aur rozana 1 goli khani shru krdi. Is 1 goli ka wazan 8 gram tha jo 2 spoon curcumin powder ke barabr thi. Is goli ke khane se uski sehat par intahai heran kun asraat murattab hone shru ho gaye aur uska blood cancer jo la ilaj ho chuka tha ghatna shru ho gaya aur 5 saal ke baad bilkul mamooli sa reh gaya . Is curcumin ki goli se Fargosan ko itni jaldi sehat mili ke Doctor dang reh gaye aur British Medical Journal mein is ke ruba sehat hone ki report publish ki gai.
No comments:
Post a Comment