How To Make Bones Strong
Calcium insani sehat aur bilkhusoos bones ke liye intahai zaroori hai jab ke mahireen 4 aesi foods tajweez karte hein jin se bharpoor miqdar mein calcium hasil kiya ja sakta ha. Calcium ka shumar jism ke liye zaroori samjhe jane walay minerals mein hota ha aur ye bones ki nasho numa aur in ki mazbooti ke liye zaroori mana jata ha, baro aur bacho mein bhi calcium ki kami se laghar pan aur bones ke kamzor ho jane ka masla paida ho sakta ha lehaza hamare jism mein calcium ki munasib miqar ki waja se hamari bones in ke jor aur pat'thay apnay afaal kai gunah behtar tarike se anjam day sakte hein. Wesay to calcium milk aur deegar dairy masnooat se hasil kiya ja sakta ha lekin is ke ialwa bhi kuch khas qisam ke ingredients se aap calcium ki bharpoor miqdar hasil kar sakte hein.
Badam: Badam ka shumar aesay dry fruits mein hota ha jis mein beshumar ghizayat chupi ha aur is mein shamil phosphorus, folad aur magnesium sehat ke liye intahai mufeed hein jab ke is mein shamil calcium jism ko munasib miqdar mein ghizayat faraham karta hai.
Orange: Orange juicy aur mosam e sarma ka lazeez phal ha jo insani sehat ke liye intahai faidamand ha, is phal mein calcium ke sath sath Vitamin C bhi shamil hota ha aur Calcium hasil karne ke liye ye 1 behtareen phal hai.
Til Ke Beej: Til ke beej ka istemal hypertension ko kam karne ke liye istemal kiya jata hai aur is ke ilawa kai aqsaam ke cancer se larne ki bhi salahiyat bhi rakhta ha lehaza is ka istemal salad ke sath moassar tarike se kiya ja sakta hai.
Injeer: Injeer ka shumar khusoosri tor par sardio mein istemal hone walay dry fruits mein hota ha jab ke is mein shamil calcium ghizayat ke sath sath bharpoor energy faraham karti ha. Lehaza is ka istemal calcium ki kami ko poora karne mein madadgar hota hai.
No comments:
Post a Comment