How To Remove Facial Hair Naturally At Home Permanently

How To Remove Facial Hair Naturally At Home Permanently

How To Remove Facial Hair Naturally At Home Permanently

How To Remove Facial Hair Naturally At Home Permanently

How To Remove Facial Hair Naturally At Home Permanently

How To Remove Facial Hair Naturally At Home Permanently
Chehre ke ghair zaroori baal aur na pasandeeda baal jinhein hirsutism bhi kaha jata hai aam tor par khawateen mein hormones problem ki waja se hote hein. Mahana ayam mein be qaidgi ho to chehre aur hathon ke sath sath tango par bhi ghaie zaroori balon ki afzaish hone lagti ha chehre ke balon ko door ya khatam karne ke liye khawateen bleaching, waxing, threading ka bari ba qaidgi se istemal karti hein aur kuch to laser treatment ka sahara bhi leti hein.
In tamam tariko ke ba wajood balon ka nikalna rukta nahi balke kuch dino ke waqfa ke baad in ki afzaish hona shru ho jati ha. Taqreeban tamam hi ladies ke hathon aur chehre par rooun ki shakal mein chote chote baal hote hein. Kuch baal gehre aur baray hote hein aur kuch qudrati choti halat mein ugte hein. Chehre par balon ka hona hamesha se hi na pasandeeda raha hai in na pasandeeda balon se chutkara pane ke liye khawateen har qisam ke tarike aazmati hein.
Lekin hota ye hai ke har baar mukhtalif tarike istemal karne ke baad ye baal phir se use shado mud ke sath ugne lagte hein. Chehre ke in napasandeeda balon ki waja se khawateen pareshan bhi rehti hein aur isi waja se wo kahi aane jane aur logon se milne julne se katrati hein in mein self confidence ki kami hone lagti ha aur in mein se kai khawateen tanhai ka shikar ho jati hein jo ke yaqeenan in ki zindagi aur sehat ke liye normal andaz nahi. Kuch gharelu aur aazmooda nuskhe aesay hein jin ke ba qaidgi ke istemal karne se chehre ke ye ghair zaroori aur napasandeeda balon se hamesha ke liye chhutkara hasil kiya ja sakta hai lekin shart mustaqil mizaji ki hai.

Besan: Riwayti tor par gharon mein besan aur haldi ka mixture aksar o beshtar khawateen istemal karti hein aur is ki ahmiyat o afadiyat se bhi aagah hein. In dono ka ajza ka milap na sirf moo ke atraaf aur thori par ugne walay balon ka khatma karta ha balke besan ke mutawatar istemal se skin hamwar, chamakdar aur be aeb nazar aati ha.
Halki aur besan ko hum wazan lekar pani ke sath is ka paste tayyar kar lein aur chehre par lagayen khas tor par mutasira hisso par lagayen aur 15 se 20 minute tak khushk hone ke liye chor dein is ke baad 1 kapre ko neem garam pani mein dubo kar geela kar ke chehre par se face pack saaf kar lein aap dekhen gee ke besan ke sath chehre ke fazil baal bhi nikal rahe hein iske ilawa haldi aur besan ke mixture mein dahi ya malai ko hum wazan shamil kar ke bhi chehre par laga kar matlooba nataij hasil kiye ja sakte hein.

Cheeni: Ghar mein tayyar karda wax se faltu balon ka khatma jaldi aur tezi se mumkin ha, mumkin ha ke ghar par wax tayyar karne mein aap ko koi dikkat ho aur doosra ye wax mumkin ha aap ke liye takleef deh bhi ho, cheeni se banaye jane wali wax ka istemal aap ke liye thora sa dushwar ho sakta ha lekin iska sab se bara faida ye hoga ke aap ke skin intahai khoobsurat aur hamwar ho jayegi, pighli hui cheeni mein shamil shehad aur lemon chehre par bleach ka kaam dega aur skin ko hamwar karega, shehad ka ba qaida istemal skin ke liye har tarah se faidamand hota hai.
Gharelue wax tayyar karne ke liye 1 khane ka chamcha cheeni mein  1 teaspoon pure honey aur chand qadre lemon juice ke mila kein is mixture ko halki aanch par 3 se 4 minute tak pakayen ke 1 hamwar shakal mein aa jaye ye mixture neem garam halat mein chehre ke in hisso par lagayen jahan faltu baal hein sakht cotton ya jeans ke kapray ki pattiya bana lein aur is mixture ko lagane ke foran baad 1 patti is par rakhein aur balon ke mukhalif rukh 1 dam se kheench lein baal saaf ho jayengay waxing ka ye amal takleef deh to zaroor ha lekin is ke fawaid derpa hein.

Haldi: Haldi qudrati zakhair ka khazana hai khano mein is ki mojoodgi diabetes, blood pressure aur heart disease ko rokti ha, haldi berooni istemal mein bhi nihayat karamad hoti ha. Ye na sirf rangat nikharne mein madad deti ha balke ye bacteria ka bhi khatma karti hai. Haldi mein balon ki afzaish ko rokne ke qudrati ingredients paye jate hein is ke liye 2 khanay ke chamcha haldi ko pane ke sath mila kar 1 paste tayyar kar lein aur is face pack ko chehre ke in hisso par lagayen jahan balon ko khatam karna maqsood ho, basoorat e deegar ise pooray chehre par bhi lagaya ja sakta ha. Is face pack ko chehra par 10 se 50 minute tak laga rehne dein ye is waqt tak jab tak ye khushk na ho jaye. Neem garam pani men cotton ka 1 naram kapra dubo kar geela kar lein aur is ke zariye chehre par laga huwa haldi ka face pack saaf kar lein aap ka hath chehre par neeche se upar ki janib chalna chahiye is amal se baal bhi utarte chale jayengay hafta mein 2 se 3 baar ye amal karein aur chand maal tak mustaiql karte rehne se na sirf aap ki rangat mein nikhar paida hoga balke chehre ke fazil balon se bhi hamesha ke liye nijat hasil ho jaye gi.

Anday Ka Mask: Anday ka mask bhi chehre ke faltu balon ko khatam karne ke liye waxing jesa hi kaam deta ha ye bohat asani se ghar par tayyar kiya ja sakta ha kiyounke is mein shamil ki jane wali tamam ashya ba asani dastiyab hoti hein anday ka mask banane ke liye 1 anday ki safedi mein 1 khane ka chamcha corn flour shamil kar ke achi tarah phent lein ke ye 1 hamwar paste ki shakal ikhtiyar kar le ise chehre ke mutasira hisso par lagayen aur khushk hone par utar dein. Anday ke mask se na sirf chehre par se ghair zaroori balon ka khatima hoga balke is amal se skin tight hogi aur is par lines aur wrinkles ka bhi khatma hoga koshish yahe karein ke ye mask hafta mein 2 baar lagayen 20 se 3 month ke arsay mein iska herat angez result khud aap ko heraan kar dega.



No comments:

Post a Comment