Skin Whitening Tips In Urdu At Home

Skin Whitening Tips In Urdu At Home

skin whitening tips in urdu at home
skin whitening tips in urdu at home

Dilkash jild aur apni qudrati rangat nikharne ke liye larkiyan kai tarah ke jatan karti hein lekin ziyada tar mosami halaat, aab o hawa aur jild ko srd, garam mosam mien khula rakhne se bhi is ki rangat par asar andaz hota hai.Sooraj ki kirnein bhi jild ko nuqsan pohanchati hein.
Jis se jild ki rangat siyah par sakti hai. Hamare muashre mein khawateen hon ya mard hazraat har 1 ko goray rang ki khuwahish hoti ha aur aesay afrad bazar mein mojood mukhtalif aqsaam ki cream ka istemal karte hein. Jo jhat pat rang gora karne ke daway karti hui dekhi gai hein lekin inka istemal mukhtalif skin disease ki soorat mein samne aata hai. Chand gharelu totkay aesay hein jinka istemal aap ke rang ko gora kar sakta ha aur inka koi muzir asar jild par nahi hota, har jild doosri jild se mukhtalif hoti ha is liye kisi jild par ye totke jald asar karte hein aur kuch jildo par thoray arsay baad inka faida nazar aata hai.
1. 2 spoon dalya, 2 spoon sookha doodh, 2 spoon aam ka gooda aur 1 adad keri ki guthli ko 1 sath achi tarah pees lein aur is cream ka pooray jism par massage karein rang saaf ho jayega agar aap ke paas se paseene ki badboo aati ha to wo bhi khatam ho jayegi.
2. Dahi, lemon juice auur dalya mila kar mask banayen aur 15 se 20 minute tak chehre par laga rehne dein is ke baad chehra dho lein.
3. Jo ka aata, sookha doodh aur safed shakar doodh mein mix kar ke pooray jism ka massage karein ye qudrati body scrub hai.
4. Bartan mein aalu ka rus nikal lein apnay chehre par ise bleach ki tarah lagayen. 15 minute se half hour tak laga rehnde dein phir moo dho lein. Ye amal rozana karein rang saaf ho jayega.
5. Dahi 1 spoon, honey 2 spoon lekar is ka mask 10 se 15 minute ke liye chehre par laga kar dho lein.
6. Tomato bama gooda lekar apnay chehray par lap karien.Ye bhi chehre ki rangat nikharne mein ahem kirdar ada karta hai.
7. Lemon juice lekar cotton ki madad se face pr mojood siyah hisso par lagayen aur 20 se 30 minute ke baad sada pani se wash kar lein. Jild par mojood siyah nishanat ahista ahista khatam ho jayengay.
8. 2 adad badam thori se gulab ki pattiya taza ya sookhi hui, 2 sabz ilaichi, chutki bhar haldi in sab ko achi tarah pees lein aur 2 spoon dahi mila lein (Jild khushk ho to is mein roghan e badad ya zaitoon ka tail bhi 2 drops daal kar laga sakte hein) chehre par lagayen halka khushk hone ki soorat mein sada pani se wash kar lein sabun ka istemal hargiz na karein.
9. 1 spoon khushk doodh, lemon juice, almond oil lekar mila lein aur chehra par lagayen. 15 minute tak laga rehne dein phir moo pani se saaf kar lein.
10. Podine ki pattiya pani mein daal kar ubal lein nihar moo pattiya nikal ke pani pee lein. Ye bhi rangat behtar karne mein aap ki madad karta hai.
11. Besan ko thoray se arq e gulab mein mila kar garha sa paste bana lein aur ise chehre aur gardan ki jild par lagaen aur thori dair ke liye chor dein. Jab sara paste khushk ho jaye to chehre ko achi tarah thanday pani se wash kar lein aur naram kapray se khushk kar lein.


No comments:

Post a Comment