Bismillah Ka Wazifa
Jab Nabi Pak Sallallahu Alaihi Wasallam koi bhi kaam karte to is ki ibtida Allah Ta'la ke ba barkat naam se farmate.
Rasool e Pak Hazrat Muhammad Peace Be Upon Him ka irshad hai ke darwaza band karte huway Bismillah parho, bartan dhanpte huway Bismillah parho aur mushk ka moo band karte huway Bismillah parho. Is se maloom hota hai ke Bismillah Ir Rahman Ir Raheem kis qadar ahmiyat ki hamil hai.
Mali Pareshani Ka Wazifa:
Agar har Namaz ke baad Surah Fatiha Bismillah Ir Rahman Ir Raheem samet 21 martaba parh liya karein to aap kabhi bhi maali pareshani se do char nahi hongay.
Har Zaroorat Aur Mushkil Ka Wazifa:
Baad Namaz e Sunnat e Fajar agar koi shakhs Bismillah Ir Rahman Ir Raheem 90 martaba awal o aakhir 11 11 martaba Durood Shareef hamesha wird mein rakhe to Insha Allah koi mushkil pesh na aayegi. Jab bhi zaroorat ke waqt parhe ga, har maqsad mein kamyabi aur mushkil asan hogi.
Hifazat Ka Wazifa:
35 martaba Bismillah Ir Rahman Ir Raheem likh kar ghar mein latka di jaye to shaitan o jin is ghar mein dakhil na ho sakengay.
Jis Aurat Ke Bachay Zinda Na Rehte Ho:
Wo Bismillah Ir Rahman Ir Rahim 61 martaba likh kar taweez bana kar apnay paas rakhe to bache mehfooz rahengay.
Hafiza Tez Karne Ka Wazifa:
786 martaba Bismillah Ir Rahman Ir Rahim pani par dam kar ke tuloo aftab ke waqt peene se zehen khul jayega aur hafiza qawi ho jayega.
Shaitani Asrat Se Hifazat Ka Wazifa:
Sone se pehle 21 martaba Bismillah Ir Rahman Ir Raheem parhein to chori, shaitani asraat aur achanak mot se mehfooz rahega.
Har Hajat Ka Wazifa:
Bismillah Ir Rahman Ir Rahim Huroof ke adad 786 hein. Jo shakhs is adad ke muwafiq 7 roz tak mutawatar Bismillah Ir Rahman Ir Raheem parha kare aur apnay maqsad ke liye Dua kare to Insha Allah har hajat poori hogi.
No comments:
Post a Comment