1. Jo is ism ya basito ko chasht ki namaz ke baad 10 baar parhe ga usay har muamlay mein kushadgi hogi aur Insha Allah kabhi kisi ka mohtaj na hoga.
2. Jo 10 baar asman ki taraf hath uthar kar ye ism Ya Basitu parhe aur phir hath apnay chehre par phere to us ke liye ghina ka darwaza khul jayega.
3. Jo Ya Basitu 40 baar parhe ga Insha Allah makhlooq se beparwa hoga.
4. Mushkilat se nijat ke liye har Namaz ke baad 140 baar har roz Ya Basitu ka parhna mufeed hai.
5. Jo koi 3 raat mein 125000 Ya Basito khatam kare aur awal o akhir 100 baar Durood Shareef parhe usay Insha Allah ghaib se rozi milegi, 3 raton ke baad rozana 100 baar parh liya kare.
6. Jo 72 baar rozana is ism ko parha kare use Allah Ta'la tamam afaton se mehfooz rakhta hai.
7. Jo shakhs is ism Ya Basitu ko raat ke akhri hissa mein hath uthar kar 10 baar kahe hamesha khush dil rahe aur gham o ulam na ho aur aesi jaga se nafa ho jahan se umeed na ho.
8. Jo shakhs is ism Ya Basito ko roz parha kare aur likh kar apne paas rakhe us ko Insha Allah gham na pohanche ga aur ghaib se rozi payega kisi ka mohtaj na hoga.
No comments:
Post a Comment