Facial darasal jild ki umar barhane ke liye kya jata hai. Insani jild mein bishumar chote chote masam hote hein. Jin ko na to bilkul band hona chahiye aur na hi zyada khule, balke aam tor par inehin normal halat mein rehna chahiye takay pasine ka ikhraj behtar tor par ho sake.
Facial ki zaroorat amooman 20 saal ki umar ke baad hoti hai jese jaise umar barhti hai iski zaroorat barhti jati hai. 30 saal ki age ki khwateen ko 15 din mein yani 1 month mein 2 baar facial ki zaroorat hoti hai aur youn umar ki zyadti ke sath sath facial ka waqfa kam hota jata hai.
Facial Karne Ke Fayde:
Facial karne se aap ki jild ko jo fawaid pohanchte hein in mein se chand 1 ye hein.
1. Blood circulation tez karta hai aur masam normal halat mein rakhta hai.
2. Jild ki chusti aur lachak barhata hai.
3. Jild ko mulaim aur muscles ko tight karta hai.
4. Black heads aur white heads khatam ho jate hein aur gandagi door ho jati hai.
5. Skin saaf suthri ho jati hai.
6. Jildi beemario jaise keel muhaso, chaiyo aur wrinkles ka ilaj mumkin ho jata hai. Facial jild ki ghiza hai.
No comments:
Post a Comment