Sar Ki Khushki Ka Ilaj

 

sar ki khushki ka ilaj

sar ki khushki ka ilaj

sar ki khushki ka ilaj

Ye shru mein khushki ki sirf 1 bareek se teh hoti hai. Jis ka sabab balon ki munasib safai ya balon mein brush ya kangha zaroorat se kam karna ho sakta hai. Is ki intahai soorat pitrriasis hai jis mein khushki teh dar teh jami hoti hai jo is baat ko zahir karti hai ke aap had se zyada stress ka shikar hein. Is liye diet mein Vitamin B ka istemal barha dein aur ghiza mein dalein waghera istemal karein.
Khushki ka had se barh jana is baat ki alamat bhi ho sakti hai ke doodh ya paneer ka istemal aap ke liye soodmand nahi hai. Is liye apni ghiza mein in cheezon ki kami kar dein.
Khushki ki wajoohat mein 1 waja zehni pareshani aur tafarrukat bhi hai aur umar ke mukhtalif hisso mein taqreeban sab hi tension aur stress ke zere asar aate hein aur khushki ka masla zor pakar jata hai.
Doosh aur iski bani hui ashya ka istemal tark kar dein aur calcium ke istemal ka alternate dhoondein jese green vegetables, dry fruits aur dalein waghera istemal karein. Khushki se nijat ke liye chand mufeed nuskhe tehree kiye ja rahe hein.

Nuskha # 1:
Ingredients: Sarso ka tail     Dahi
Method: Dono ashya baham mila kar unglio ki madad se balon ki jaron mein achi tarah se lagayen nihat halke hathon se narmi ke sath massage karein aur 30 minute baad sar dho lein aesa karne se khushki door ho jayegi.

Nuskh # 2:
Ingredients: Sarso ka tail    1 Anday ki zardi
Method: Sarso ke tail mein 1 anday ki zardi achi tarah mix kar ke balon mein lagayen aur halka massage karein.

Nuskha # 3:
Ingredients: 2 Anday ki zardi    lemon juice half teaspoon
Method: Dono ashya achi tarah se mix kar ke sar dhone se ya nahane se half ghanta qabal balon ki jaron mein lagayen aur sar wash kar lein. Musalsal aesa karne se khushki door hogi. 


Nuskha # 4:
Ingredients: One egg   Caston oil 1 tablespoon  Pure sarso ka tail 2 tablespoon
Method: Teeno ashya achi tarah mix kar ke balon ki jaron mein achi tarah lagayen aur taqreeban 2 hours baad sar wash kar lein. Musalsal istemal se sar ki khushki door hogi aur baal chamakdar aur naram o mulaim ho jayengay.

Nuskha # 5
Ingredients: Sarso ki khali    Charon maghz
Method: Dono ingredients pees kar is se sar dhoyen aese baal dhone ke liye shampoo ya sabun istemal na karein is ke ilawa roghan e badam se sar ka massage kya karein. 
Rozana raat ko sone se qabal 1 glass doodh mein 1 teaspoon almond oil daal kar pi liya karein.

No comments:

Post a Comment