1. Rozana 1000 baar Ya Allah parhne se kamal yaqeen naseeb hota hai.
2. Juma ke din Namaz Juma se pehle pak o saf ho kar khalwat mein parhne se maqsad asan ho jata hai khuwa kaisa hi mushkil ho.
3. Jis mareez ke ilaj se atba aajiz aa gaye ho, us par parha jaye to acha ho jata hai, bashart yeke mot ka waqt na aa gaya ho.
4. Har namaz ke baad 100 baar Ya Allah parhne wala sahab e batin o sahib kashaf ho jata hai.
5. 66 baar likh kar dho kar mareez ko pilane se Allah Ta'la shifa ata farmata hai, khuwa asaib ka asar kyoun na ho.
6. Asaib zada ke liye kisi bartan par Allah us bartan ki gunjaish ke baqadar likh kar us ka pani asaib zada par chirkein to us par musallat shaitan jal jata hai.
7. Jo shakhs Allah ka mohabbbat e Ilahi ki waja se zikar karega aur shak nahi karega wo sahab yaqeen mein se hoga.
8. Jo har Namaz ke baad 7 baar Huwallahu Raheem parhta rahega uska iman salb nahi hoga aur wo shaitan ke shar se mehfooz rahega.
9. JO shakhs 1000 bar Ya Allahu Ya Hu parhe ga us ke dil mein Iman aur marifat ko mazboot kar diya jaeyga.
10. Jo shakhs Juma ke din Asar ki Namaz parh kar qibla rukh beth kar Maghrib tak Ya Allahu Ya Rahmanu parhta rahega phir Allah Ta'la se jo cheez mange ga Allah Ta'la usko zaroor ata farmayengay.
No comments:
Post a Comment